suni to usne ghairon se hua go bad-guman humse
sunī to us ne ġhairoñ se huā go bad-gumāñ ham se
bahar-sūrat rahī behtar hamārī dāstāñ ham se
zabāñ par aa.egī kyā paas nāmūs-e-mohabbat se
nahīñ dohrā.ī jaatī dil meñ apnī dāstāñ ham se
chune the chaar tinke ek din sehn-e-gulistāñ meñ
rahā tā-zindagī barham mizāj-e-bāġhbāñ ham se
duhā.ī hai ġham-e-majbūrī-e-imkāñ duhā.ī hai
ki phirtī haiñ dam-e-rehlat hamārī putliyāñ ham se
subuk-sar rah chuke haiñ ham bhī duniyā meñ kabhī lekin
ye zikr us vaqt kā hai aap jab the sargirāñ ham se
qafas hī ho gayā tūl-e-asīrī se nasheman jab
na chhūTe āshiyāñ se ham na chhūTā āshiyāñ ham se
zamāna dūsrī karvaT badaltā bhī to kyā hotā
badal jaatī na uftād-e-zamīn-o-āsmāñ ham se
bahār aane se pahle ik pareshāñ ḳhvāb dekhā thā
ki jaise fasl-e-gul meñ chhuT rahā hai āshiyāñ ham se
zamāna sāziyāñ qurbāñ ma.aal andeshiyāñ sadqe
vo sunñe aaj baiThe haiñ hamārī dāstāñ ham se
madad ai lazzat-e-zauq-e-asīrī ab ye hasrat hai
qafas vaale badal lete hamārā āshiyāñ ham se
tasavvur meñ khiñchā naqsha hai un ke rū-e-rañgīñ kā
ba-zāhir parda-e-dil meñ haiñ 'afqar' vo nihāñ ham se
suni to us ne ghairon se hua go bad-guman hum se
bahar-surat rahi behtar hamari dastan hum se
zaban par aaegi kya pas namus-e-mohabbat se
nahin dohrai jati dil mein apni dastan hum se
chune the chaar tinke ek din sehn-e-gulistan mein
raha ta-zindagi barham mizaj-e-baghban hum se
duhai hai gham-e-majburi-e-imkan duhai hai
ki phirti hain dam-e-rehlat hamari putliyan hum se
subuk-sar rah chuke hain hum bhi duniya mein kabhi lekin
ye zikr us waqt ka hai aap jab the sargiran hum se
qafas hi ho gaya tul-e-asiri se nasheman jab
na chhuTe aashiyan se hum na chhuTa aashiyan hum se
zamana dusri karwaT badalta bhi to kya hota
badal jati na uftad-e-zamin-o-asman hum se
bahaar aane se pahle ek pareshan KHwab dekha tha
ki jaise fasl-e-gul mein chhuT raha hai aashiyan hum se
zamana saziyan qurban maal andeshiyan sadqe
wo sunne aaj baiThe hain hamari dastan hum se
madad ai lazzat-e-zauq-e-asiri ab ye hasrat hai
qafas wale badal lete hamara aashiyan hum se
tasawwur mein khincha naqsha hai un ke ru-e-rangin ka
ba-zahir parda-e-dil mein hain 'afqar' wo nihan hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.