suniye huzur mujhko nahin sadgi pasand
suniye huzūr mujh ko nahīñ sādgī pasand
kuchh kuchh fusūñ ke saath hai kuchh ḳhāmushī pasand
rahte haiñ saañp ban ke mirī āstīñ meñ jo
un dostoñ kī mujh ko nahīñ dostī pasand
virse meñ ye milī thī mujhe mehrbāñ mire
is vāste mujhe hai bahut tīrgī pasand
mujh se milā thā ḳhvāb ke aalam meñ aur kahā
maiñ be-sukūñ thā is liye kī ḳhud-kushī pasand
be-samt kar rahā huuñ safar jān-būjh kar
kis ne kahā mujhe hai miyāñ raushnī pasand
laḌkī to kah rahī hai mujhe nā-pasand hai
ab to batā hai tujh ko vahī vāqa.ī pasand
dekho mumāsalat kī bhī had ho ga.ī 'sahar'
us ko hai chāñd mujh ko bahut chāñdnī pasand
suniye huzur mujh ko nahin sadgi pasand
kuchh kuchh fusun ke sath hai kuchh KHamushi pasand
rahte hain sanp ban ke meri aastin mein jo
un doston ki mujh ko nahin dosti pasand
wirse mein ye mili thi mujhe mehrban mere
is waste mujhe hai bahut tirgi pasand
mujh se mila tha KHwab ke aalam mein aur kaha
main be-sukun tha is liye ki KHud-kushi pasand
be-samt kar raha hun safar jaan-bujh kar
kis ne kaha mujhe hai miyan raushni pasand
laDki to kah rahi hai mujhe na-pasand hai
ab to bata hai tujh ko wahi waqai pasand
dekho mumasalat ki bhi had ho gai 'sahar'
us ko hai chand mujh ko bahut chandni pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.