suno dariya ki duhai sahab
suno dariyā kī duhā.ī sāhab
pyaas milne nahīñ aa.ī sāhab
yaad kartī hai mahaktī sarsoñ
raah taktī hai phulā.ī sāhab
mere hāthoñ meñ qalam thā lekin
maiñ ne talvār uThā.ī sāhab
mujh pe pathrāv kiyā phūloñ ne
choT ḳhushbū ne lagā.ī sāhab
mere hoñToñ se chhuḌā kar dāman
pyaas dariyā meñ nahā.ī sāhab
suno dariya ki duhai sahab
pyas milne nahin aai sahab
yaad karti hai mahakti sarson
rah takti hai phulai sahab
mere hathon mein qalam tha lekin
main ne talwar uThai sahab
mujh pe pathraw kiya phulon ne
choT KHushbu ne lagai sahab
mere honTon se chhuDa kar daman
pyas dariya mein nahai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.