suno ek baat ajib si ki na ghaib tha na huzur tha
suno ek baat ajib si ki na ghaib tha na huzur tha
Abdul Qadir Ahqar Azizi
MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi
suno ek baat 'ajīb sī ki na ġhaib thā na huzūr thā
jo thā mere dil ke qarīb-tar vo mirī nigāh se duur thā
vo jo merī bazm se chal diye to nazar khulī kī khulī rahī
magar ek shor bapā rahā ki jo shor-e-yaum-e-nushūr thā
mujhe apne shauq pe naaz thā ye pata chalā ki fareb thā
jise maiñ samajhtā thā bandagī vo mirī ḳhatā thī qusūr thā
jo maiñ haal dil kā bayāñ karūñ mujhe aisā mauqa' kahāñ milā
vo jo mere dil kā thā aa.ina vo nigāh-e-nāz se chuur thā
mujhe daaġh de ke chalā gayā mire dil meñ ghaav lagā gayā
vo jo mere dil kā surūr thā vo jo merī aañkh kā nuur thā
suno ek baat 'ajib si ki na ghaib tha na huzur tha
jo tha mere dil ke qarib-tar wo meri nigah se dur tha
wo jo meri bazm se chal diye to nazar khuli ki khuli rahi
magar ek shor bapa raha ki jo shor-e-yaum-e-nushur tha
mujhe apne shauq pe naz tha ye pata chala ki fareb tha
jise main samajhta tha bandagi wo meri KHata thi qusur tha
jo main haal dil ka bayan karun mujhe aisa mauqa' kahan mila
wo jo mere dil ka tha aaina wo nigah-e-naz se chur tha
mujhe dagh de ke chala gaya mere dil mein ghaw laga gaya
wo jo mere dil ka surur tha wo jo meri aankh ka nur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.