suno mera KHayal hai
suno mirā ḳhayāl hai
ye zindagī vabāl hai
ajiib be-ruḳhī sī hai
baḌā ḳharāb haal hai
na guftugū meñ shoḳhiyāñ
na sur rahā na taal hai
kabhī ḳhudā kabhī sanam
ye kaisā gol-māl hai
mohabbatoñ kī aaḌ meñ
havas kā ek jaal hai
bahār hai gurez-pā
diloñ kā ḳhasta haal hai
gañvā diyā hai soz-e-dil
ki pattharoñ sā haal hai
zamāna be-misāl thā
zamāna be-misāl hai
kisī kī chaah meñ 'sahar'
uruuj bhī zavāl hai
suno mera KHayal hai
ye zindagi wabaal hai
ajib be-ruKHi si hai
baDa KHarab haal hai
na guftugu mein shoKHiyan
na sur raha na tal hai
kabhi KHuda kabhi sanam
ye kaisa gol-mal hai
mohabbaton ki aaD mein
hawas ka ek jal hai
bahaar hai gurez-pa
dilon ka KHasta haal hai
ganwa diya hai soz-e-dil
ki pattharon sa haal hai
zamana be-misal tha
zamana be-misal hai
kisi ki chah mein 'sahar'
uruj bhi zawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.