suno to KHub hai Tuk kan dhar mera suKHan pyare
suno to ḳhuub hai Tuk kaan dhar merā suḳhan pyāre
ki āshiq par na honā is qadar bhī dil kaThan pyāre
kidhar ho be-ḳhabar ho kyā magar ahvāl siiñ mere
udhar dekho ai zālim lā-ubālī man-haran pyāre
na kar āzurda-ḳhātir bulbul-e-betāb kuuñ hargiz
ġhanīmat buujh do din kī bahār ai man-haran pyāre
phañsā hai mujh sarī kā said aa kar daam meñ tere
kiyā tū ne magar kuchh sehr ai jaadū nayan pyāre
taġhāful mat karo ai nau-bahār-e-gulshan-e-ḳhūbī
tumhāre bin nipaT be-āb hai dil kā chaman pyāre
mire dil kī kalī murjhā rahī hai sarsar-e-ġham señ
karo Tuk muskurā kar baat ai shīrīñ-dahan pyāre
'sirāj' ab sho.ala-e-ulfat meñ jiyūñ parvāna jaltā hai
na jānūñ tujh satī is kuuñ lagī hai kyā lagan pyāre
suno to KHub hai Tuk kan dhar mera suKHan pyare
ki aashiq par na hona is qadar bhi dil kaThan pyare
kidhar ho be-KHabar ho kya magar ahwal sin mere
udhar dekho ai zalim la-ubaali man-haran pyare
na kar aazurda-KHatir bulbul-e-betab kun hargiz
ghanimat bujh do din ki bahaar ai man-haran pyare
phansa hai mujh sari ka said aa kar dam mein tere
kiya tu ne magar kuchh sehr ai jadu nayan pyare
taghaful mat karo ai nau-bahaar-e-gulshan-e-KHubi
tumhaare bin nipaT be-ab hai dil ka chaman pyare
mere dil ki kali murjha rahi hai sarsar-e-gham sen
karo Tuk muskura kar baat ai shirin-dahan pyare
'siraj' ab shoala-e-ulfat mein jiyun parwana jalta hai
na jaanun tujh sati is kun lagi hai kya lagan pyare
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 630)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.