suno tum ghaur se thoDi si hai ye dastan meri
suno tum ġhaur se thoḌī sī hai ye dāstāñ merī
nahīñ chaltī bayān-e-shauq par hargiz zabāñ merī
tabassum aur phir barq-e-tabassum uf ma.āz-allāh
chhupī hai zindagī bhar kī isī meñ dāstāñ merī
payām-e-shauq de kar vo bulā.eñge mujhe ai dil
ḳhayāl-e-ḳhām terā hai ye qismat hai kahāñ merī
kisī kī chashm-e-maigūñ meñ surūr-e-husn raqsāñ hai
hayā ḳhāmosh fitrat hai tamanna hai javāñ merī
fanā ke bhes meñ pinhāñ tirā anjām-e-hastī hai
yahī kahtī rahī mujh se 'vafā' umr-e-ravāñ merī
suno tum ghaur se thoDi si hai ye dastan meri
nahin chalti bayan-e-shauq par hargiz zaban meri
tabassum aur phir barq-e-tabassum uf maaz-allah
chhupi hai zindagi bhar ki isi mein dastan meri
payam-e-shauq de kar wo bulaenge mujhe ai dil
KHayal-e-KHam tera hai ye qismat hai kahan meri
kisi ki chashm-e-maigun mein surur-e-husn raqsan hai
haya KHamosh fitrat hai tamanna hai jawan meri
fana ke bhes mein pinhan tera anjam-e-hasti hai
yahi kahti rahi mujh se 'wafa' umr-e-rawan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.