suno ujDa makan ek bad-dua hai
suno ujḌā makāñ ik bad-duā hai
sadā andar sadā andar sadā hai
ḳhizāñ ik ġham-zada bīmār aurat
havā ne chhīn lī jis kī ridā hai
sitāra jal-bujhā muḳhtār thā vo
diyā majbūr thā jaltā rahā hai
sar-e-mizhgāñ ubhar aanā thā jis ko
kahāñ vo mehrbāñ taarā gayā hai
ugī haiñ chaar sū bāteñ hī bāteñ
ajab sī har taraf āvāz-e-pā hai
havā us ko uḌā le jā kahīñ tū
ye bādal apne par phailā rahā hai
hai uryānī to aadat chāndnī kī
añdherā be-sabab sharmā rahā hai
sitāroñ aur sharāroñ meñ Thanī hai
mohabbat kī magar ye bhī adā hai
ye kaisī aañkh thī jo ro paḌī hai
ye kaisā ḳhvāb thā jo bujh gayā hai
havā ab chal paḌī hai terī jānib
havā ko bādbāñ raas aa gayā hai
jo dil meñ phāñs thī so rah ga.ī hai
yahāñ varna sabhī kuchh ho gayā hai
suno ujDa makan ek bad-dua hai
sada andar sada andar sada hai
KHizan ek gham-zada bimar aurat
hawa ne chhin li jis ki rida hai
sitara jal-bujha muKHtar tha wo
diya majbur tha jalta raha hai
sar-e-mizhgan ubhar aana tha jis ko
kahan wo mehrban tara gaya hai
ugi hain chaar su baaten hi baaten
ajab si har taraf aawaz-e-pa hai
hawa us ko uDa le ja kahin tu
ye baadal apne par phaila raha hai
hai uryani to aadat chandni ki
andhera be-sabab sharma raha hai
sitaron aur shararon mein Thani hai
mohabbat ki magar ye bhi ada hai
ye kaisi aankh thi jo ro paDi hai
ye kaisa KHwab tha jo bujh gaya hai
hawa ab chal paDi hai teri jaanib
hawa ko baadban ras aa gaya hai
jo dil mein phans thi so rah gai hai
yahan warna sabhi kuchh ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.