sunoge tum bhi meri dastan kabhi na kabhi
sunoge tum bhī mirī dāstāñ kabhī na kabhī
asar dikhā.egā dard-e-nihāñ kabhī na kabhī
kabhī to ātish-e-namrūd sard bhī hogī
qarār pā.egā qalb-e-tapāñ kabhī na kabhī
ye aaj gardish-e-shām-o-sahar batātī hai
nazar bachā.egā ḳhud āsmāñ kabhī na kabhī
kabhī to gauhar-e-nāyāb haath aa.egā
milegā rūh-e-ḳhudī kā nishāñ kabhī na kabhī
jamūd-e-sehr-e-tamannā meñ rah nahīñ saktā
faroġh pā.egā azm-e-javāñ kabhī na kabhī
azaañ bilāl kī gūñjī hai regzāroñ meñ
sunegā dil kī sadā ye jahāñ kabhī na kabhī
'azīz' terī mohabbat bhī rañg lā.egī
tamām hogā ġham-e-bekarāñ kabhī na kabhī
sunoge tum bhi meri dastan kabhi na kabhi
asar dikhaega dard-e-nihan kabhi na kabhi
kabhi to aatish-e-namrud sard bhi hogi
qarar paega qalb-e-tapan kabhi na kabhi
ye aaj gardish-e-sham-o-sahar batati hai
nazar bachaega KHud aasman kabhi na kabhi
kabhi to gauhar-e-nayab hath aaega
milega ruh-e-KHudi ka nishan kabhi na kabhi
jamud-e-sehr-e-tamanna mein rah nahin sakta
farogh paega azm-e-jawan kabhi na kabhi
azan bilal ki gunji hai regzaron mein
sunega dil ki sada ye jahan kabhi na kabhi
'aziz' teri mohabbat bhi rang laegi
tamam hoga gham-e-bekaran kabhi na kabhi
- Book : Aabshaar (Pg. 194)
- Author : Aziz Badayuni
- Publication : Aziz Badayuni (Begum Aziz Azam (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.