sunta hun main sadaen ye ashkon ki jhil se
suntā huuñ maiñ sadā.eñ ye ashkoñ kī jhiil se
ab zindagī guzār to sabr-e-jamīl se
maiñ ne diye kī lau pe tirā ism kyā paḌhā
ik raushnī sī phuuT paḌī thī fasīl se
dil ko sukūn baḳhsh de ai ḳhāliq-e-jahāñ
tañg aa gayā hai ab ye jahān-e-zalīl se
kyoñ raas mujh ko ishq bhī aayā nahīñ miyāñ
kyoñ sāmnā huā mirā hijr-e-qalīl se
'tāriq' ab is qadar bhī na sachche bano yahāñ
rad bhī kiyā na jā sake tum ko dalīl se
sunta hun main sadaen ye ashkon ki jhil se
ab zindagi guzar to sabr-e-jamil se
main ne diye ki lau pe tera ism kya paDha
ek raushni si phuT paDi thi fasil se
dil ko sukun baKHsh de ai KHaliq-e-jahan
tang aa gaya hai ab ye jahan-e-zalil se
kyon ras mujh ko ishq bhi aaya nahin miyan
kyon samna hua mera hijr-e-qalil se
'tariq' ab is qadar bhi na sachche bano yahan
rad bhi kiya na ja sake tum ko dalil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.