sunta raha jo aql ki mahjub ho gaya
suntā rahā jo aql kī mahjūb ho gayā
dil kī nazar se dekhā to mahbūb ho gayā
kartā rahā jo ishq meñ apnī anā kī baat
nazroñ se terī gir gayā ma.atūb ho gayā
jis ne kabhī savāl uThāyā yaqīn par
dil vo salīb-e-aql pe maslūb ho gayā
jis par chalā thā roz tirī samt be-sabab
rasta vo mere naam se mansūb ho gayā
yuuñ to savāl aql ne soche ka.ī magar
dil jalva-hā-e-husn se mar.ūb ho gayā
aisī havā chalī hai ki ab tere shahr meñ
mehr-o-vafā kā zikr bhī ma.ayūb ho gayā
had se baḌhī talab to phir ik roz yuuñ huā
tālib dayār-e-husn meñ matlūb ho gayā
dekhā jise bhī terā hī jalva lagā mujhe
har rang tere husn kā mandūb ho gayā
kartā rahā huuñ aql kī tarvīj umr bhar
phir shā.erī meñ bhī yahī uslūb ho gayā
dil ke muāmlāt pe ġhālib kabhī na thā
phir yuuñ huā ki aql se maġhlūb ho gayā
likhtā rahā hai aaj 'hidāyat' jo hāl-e-dil
qāsid ke haath aap hī maktūb ho gayā
sunta raha jo aql ki mahjub ho gaya
dil ki nazar se dekha to mahbub ho gaya
karta raha jo ishq mein apni ana ki baat
nazron se teri gir gaya matub ho gaya
jis ne kabhi sawal uThaya yaqin par
dil wo salib-e-aql pe maslub ho gaya
jis par chala tha roz teri samt be-sabab
rasta wo mere nam se mansub ho gaya
yun to sawal aql ne soche kai magar
dil jalwa-ha-e-husn se marub ho gaya
aisi hawa chali hai ki ab tere shahr mein
mehr-o-wafa ka zikr bhi mayub ho gaya
had se baDhi talab to phir ek roz yun hua
talib dayar-e-husn mein matlub ho gaya
dekha jise bhi tera hi jalwa laga mujhe
har rang tere husn ka mandub ho gaya
karta raha hun aql ki tarwij umr bhar
phir shaeri mein bhi yahi uslub ho gaya
dil ke muamlat pe ghaalib kabhi na tha
phir yun hua ki aql se maghlub ho gaya
likhta raha hai aaj 'hidayat' jo haal-e-dil
qasid ke hath aap hi maktub ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.