sunte hain ki ghaalib ke taraf-dar bahut hain
sunte haiñ ki 'ġhālib' ke taraf-dār bahut haiñ
duniyā meñ qalam kam haiñ qalamkār bahut haiñ
phir sub.h na.ī aa.egī āsār bahut haiñ
duniyā meñ abhī sāhib-e-kirdār bahut haiñ
shohrat ke safar meñ ho to ye dhyān meñ rakhnā
chaḌhte hue sūraj ke parastār bahut haiñ
dil aur jigar jis kā siyāhī pe hai maa.il
us shaḳhs ke juute bhī chamakdār bahut haiñ
me.aar hī fankār kā bantā hai havāla
varna mire dīvān meñ ash.ār bahut haiñ
iḳhlās se aarī hoñ to kis kaam ke ahbāb
muḳhlis hoñ agar dost to do-chār bahut haiñ
sunte hain ki 'ghaalib' ke taraf-dar bahut hain
duniya mein qalam kam hain qalamkar bahut hain
phir subh nai aaegi aasar bahut hain
duniya mein abhi sahib-e-kirdar bahut hain
shohrat ke safar mein ho to ye dhyan mein rakhna
chaDhte hue suraj ke parastar bahut hain
dil aur jigar jis ka siyahi pe hai mail
us shaKHs ke jute bhi chamakdar bahut hain
mear hi fankar ka banta hai hawala
warna mere diwan mein ashaar bahut hain
iKHlas se aari hon to kis kaam ke ahbab
muKHlis hon agar dost to do-chaar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.