sunte hain ki is shab ka sawera nahin mumkin
sunte haiñ ki is shab kā saverā nahīñ mumkin
allāh agar chāhe to phir kyā nahīñ mumkin
is ḳhvāb ko tum āñkhoñ se girne nahīñ denā
vaise to kisī pal kā bharosa nahīñ mumkin
ḳhushbū mirī sāñsoñ meñ rifāqat kī bharī hai
ho ḳhatm kisī se mirā rishta nahīñ mumkin
vo zahr-e-ta'assub jo yahāñ ab bhī bahut hai
duniyā ke kisī kone meñ hogā nahīñ mumkin
pāmālī-e-bātil kī misāloñ se hai sābit
mā'dūm ho sachchā.ī kā rasta nahīñ mumkin
is hijr ke mausam kī tavālat se hai zāhir
ho mun'aqid-e-jashn-e-tamanna nahīñ mumkin
dam bhartā huuñ tahzīb kā maiñ gang-o-jaman kī
urdu na paḌhe merā hī bachcha nahīñ mumkin
sunte hain ki is shab ka sawera nahin mumkin
allah agar chahe to phir kya nahin mumkin
is KHwab ko tum aankhon se girne nahin dena
waise to kisi pal ka bharosa nahin mumkin
KHushbu meri sanson mein rifaqat ki bhari hai
ho KHatm kisi se mera rishta nahin mumkin
wo zahr-e-ta'assub jo yahan ab bhi bahut hai
duniya ke kisi kone mein hoga nahin mumkin
pamali-e-baatil ki misalon se hai sabit
ma'dum ho sachchai ka rasta nahin mumkin
is hijr ke mausam ki tawalat se hai zahir
ho mun'aqid-e-jashn-e-tamanna nahin mumkin
dam bharta hun tahzib ka main gang-o-jaman ki
urdu na paDhe mera hi bachcha nahin mumkin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.