sunte hain lahu se wo taswir banata hai
sunte haiñ lahū se vo tasvīr banātā hai
chun chun ke vo dhartī ko kashmīr banātā hai
har din vo haḌaptā hai auroñ kī zamīnoñ ko
par roz na.ī apnī jāgīr banātā hai
hāthoñ meñ nahīñ us ke hai koī hunar-mandī
da.avā hai magar us kā taqdīr banātā hai
us ke hī halīfoñ ne mash.hūr kiyā hai ye
vo zahr-e-halāhal ko iksīr banātā hai
dil par to nahīñ chaltā kuchh zor kabhī us kā
zehnoñ ke jakaḌne ko zanjīr banātā hai
'nādim' to divāna hai kyā baat kareñ us kī
nāzuk sī ġhazal ko bhī shamshīr banātā hai
sunte hain lahu se wo taswir banata hai
chun chun ke wo dharti ko kashmir banata hai
har din wo haDapta hai auron ki zaminon ko
par roz nai apni jagir banata hai
hathon mein nahin us ke hai koi hunar-mandi
dawa hai magar us ka taqdir banata hai
us ke hi halifon ne mashhur kiya hai ye
wo zahr-e-halahal ko iksir banata hai
dil par to nahin chalta kuchh zor kabhi us ka
zehnon ke jakaDne ko zanjir banata hai
'nadim' to diwana hai kya baat karen us ki
nazuk si ghazal ko bhi shamshir banata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.