supurdagi ka walwala jamal mein nahin mila
supurdagī kā valvala jamāl meñ nahīñ milā
mujhe fusūn-e-be-ḳhudī visāl meñ nahīñ milā
jo aa.ine se kirchiyoñ ke darmiyāñ kā thā safar
shikast-e-zāt kī kisī misāl meñ nahīñ milā
alam-nasīb shaam meñ hai mehr-e-jāñ bujhā bujhā
nashāt-e-rañj bhī mujhe ma.aal meñ nahīñ milā
hazār yāsmīn mushk-bū huuñ tere qurb meñ
chaman kā aks tere ḳhadd-o-ḳhāl meñ nahīñ milā
vo sar-burīda chāñd bhī ġhurūb ho gayā magar
sitāra-e-sahar shab-e-zavāl meñ nahīñ milā
'nadīm' har qadam pe dard-e-be-amāñ kā dar khulā
sukūn is jahān-e-be-misāl meñ nahīñ milā
supurdagi ka walwala jamal mein nahin mila
mujhe fusun-e-be-KHudi visal mein nahin mila
jo aaine se kirchiyon ke darmiyan ka tha safar
shikast-e-zat ki kisi misal mein nahin mila
alam-nasib sham mein hai mehr-e-jaan bujha bujha
nashat-e-ranj bhi mujhe maal mein nahin mila
hazar yasmin mushk-bu hun tere qurb mein
chaman ka aks tere KHadd-o-KHal mein nahin mila
wo sar-burida chand bhi ghurub ho gaya magar
sitara-e-sahar shab-e-zawal mein nahin mila
'nadim' har qadam pe dard-e-be-aman ka dar khula
sukun is jahan-e-be-misal mein nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.