suragh-e-jada-o-manzil agar nahin milta
surāġh-e-jāda-o-manzil agar nahīñ miltā
hameñ kahīñ se javāz-e-safar nahīñ miltā
likheñ bhī dasht-navardī kā kuchh sabab to kyā
ba-juz ki qais ko lailā kā ghar nahīñ miltā
yahāñ fasīl-e-anā hā.il-e-masīhā.ī
vahāñ vo log jinheñ chārāgar nahīñ miltā
hazār kūcha-e-nik.hat meñ Dāliye Dere
magar vo phuul sar-e-rahguzar nahīñ miltā
phir ābiyārī-e-naḳhl-e-suḳhan nahīñ hotī
dil-e-hazīñ jo pas-e-chashm-e-tar nahīñ miltā
payām-e-shauq ko gītoñ meñ Dhāliye kyūñ-kar
mizāj-e-bād-e-subuk bhī agar nahīñ miltā
chalo ki phir se rafīqoñ kī bazm suunī hai
chalo ki sañg-e-malāmat ko sar nahīñ miltā
bashar-ba-nām-e-bashar to bahut haiñ duniyā meñ
bashar kī ḳhūbiyoñ vaalā magar nahīñ miltā
chalo phir us ke jharoke meñ phuul rakh aa.eñ
suḳhan koī jo agar mo'atabar nahīñ miltā
jahāñ meñ ek tumhī munfarid nahīñ 'ahmad'
yahāñ to koī bhī misl-e-digar nahīñ miltā
suragh-e-jada-o-manzil agar nahin milta
hamein kahin se jawaz-e-safar nahin milta
likhen bhi dasht-nawardi ka kuchh sabab to kya
ba-juz ki qais ko laila ka ghar nahin milta
yahan fasil-e-ana hail-e-masihai
wahan wo log jinhen chaaragar nahin milta
hazar kucha-e-nikhat mein Daliye Dere
magar wo phul sar-e-rahguzar nahin milta
phir aabiyari-e-naKHl-e-suKHan nahin hoti
dil-e-hazin jo pas-e-chashm-e-tar nahin milta
payam-e-shauq ko giton mein Dhaaliye kyun-kar
mizaj-e-baad-e-subuk bhi agar nahin milta
chalo ki phir se rafiqon ki bazm suni hai
chalo ki sang-e-malamat ko sar nahin milta
bashar-ba-nam-e-bashar to bahut hain duniya mein
bashar ki KHubiyon wala magar nahin milta
chalo phir us ke jharoke mein phul rakh aaen
suKHan koi jo agar mo'atabar nahin milta
jahan mein ek tumhi munfarid nahin 'ahmad'
yahan to koi bhi misl-e-digar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.