Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti

Qabil Ajmeri

surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti

Qabil Ajmeri

MORE BYQabil Ajmeri

    surāhī bharam khultā na merī tishnagī hotī

    zarā tum ne nigāh-e-nāz ko taklīf hotī

    maqām-e-āshiqī duniyā ne samjhā nahīñ varna

    jahāñ tak terā ġham hotā vahīñ tak zindagī hotī

    tumhārī aarzū kyuuñ dil ke vīrāne meñ aa pahuñchī

    bahāroñ meñ palī hotī sitāroñ meñ rahī hotī

    zamāne shikāyat kyā zamāna kis suntā hai

    magar tum ne to āvāz-e-junūñ pahchān hotī

    ye sab rañgīniyāñ ḳhūn-e-tamannā se ibārat haiñ

    shikast-e-dil na hotī to shikast-e-zindagī hotī

    razā-e-dost 'qābil' merā me.ayār-e-mohabbat hai

    unheñ bhī bhuul saktā thā agar un ḳhushī hotī

    surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti

    zara tum ne nigah-e-naz ko taklif di hoti

    maqam-e-ashiqi duniya ne samjha hi nahin warna

    jahan tak tera gham hota wahin tak zindagi hoti

    tumhaari aarzu kyun dil ke virane mein aa pahunchi

    bahaaron mein pali hoti sitaron mein rahi hoti

    zamane ki shikayat kya zamana kis ki sunta hai

    magar tum ne to aawaz-e-junun pahchan li hoti

    ye sab ranginiyan KHun-e-tamanna se ibarat hain

    shikast-e-dil na hoti to shikast-e-zindagi hoti

    raza-e-dost 'qabil' mera meayar-e-mohabbat hai

    unhen bhi bhul sakta tha agar un ki KHushi hoti

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sabri brothers

    Sabri brothers

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now