surahi muzmahil hai mai ka pyala thak chuka hai
surāhī muzmahil hai mai kā pyāla thak chukā hai
dar-e-sāqī pe har ik aane vaalā thak chukā hai
añdhero aao aa kar tum hī kuchh ārām de do
ki chalte chalte bechāra ujālā thak chukā hai
'adāvat kī darāreñ vaisī kī vaisī haiñ ab tak
vo bharte bharte ulfat kā masāla thak chukā hai
mujhe luuTā zarūrat kī yahāñ har company ne
musalsal karte karte dil kifālat thak chukā hai
suḳhan meñ kuchh na.e majmū'a le kar aa.iye aap
purānī shā'irī se har risāla thak chukā hai
batā ai 'faiz' āḳhir gaañv jā kar kyā karegā
tū jis ke naam kī japtā thā maalā thak chukā hai
surahi muzmahil hai mai ka pyala thak chuka hai
dar-e-saqi pe har ek aane wala thak chuka hai
andhero aao aa kar tum hi kuchh aaram de do
ki chalte chalte bechaara ujala thak chuka hai
'adawat ki dararen waisi ki waisi hain ab tak
wo bharte bharte ulfat ka masala thak chuka hai
mujhe luTa zarurat ki yahan har company ne
musalsal karte karte dil kifalat thak chuka hai
suKHan mein kuchh nae majmu'a le kar aaiye aap
purani sha'iri se har risala thak chuka hai
bata ai 'faiz' aaKHir ganw ja kar kya karega
tu jis ke nam ki japta tha mala thak chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.