surKH aankhen hain zard manzar hai
surḳh āñkheñ haiñ zard manzar hai
zindagī ret kā samundar hai
sūrat-e-hāl pūchh lo ham se
dil hai ġhamgīn aañkh bhī tar hai
kaise manzil na ho qarīb mire
jab mirā hī shu.ūr rahbar hai
maiñ ye ḳhud bhī nahīñ samajh paayā
qarz kis kī nazar kā mujh par hai
maiñ añdheroñ meñ kho nahīñ saktā
ishq se dil mirā munavvar hai
rū-ba-rū aa.ine ke mat jaanā
haath meñ aa.ine ke patthar hai
ek tūfāñ hai us kī ḳhāmoshī
zindagī us kī ik samundar hai
rab salāmat rakhe ḳhudī merī
ye imārat bhī aaj jarjar hai
jis kā hotā nahīñ diloñ meñ qiyām
aadmī vo 'adīb' be-ghar hai
surKH aankhen hain zard manzar hai
zindagi ret ka samundar hai
surat-e-haal puchh lo hum se
dil hai ghamgin aankh bhi tar hai
kaise manzil na ho qarib mere
jab mera hi shuur rahbar hai
main ye KHud bhi nahin samajh paya
qarz kis ki nazar ka mujh par hai
main andheron mein kho nahin sakta
ishq se dil mera munawwar hai
ru-ba-ru aaine ke mat jaana
hath mein aaine ke patthar hai
ek tufan hai us ki KHamoshi
zindagi us ki ek samundar hai
rab salamat rakhe KHudi meri
ye imarat bhi aaj jarjar hai
jis ka hota nahin dilon mein qiyam
aadmi wo 'adib' be-ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.