surKH raushni le kar aaftab aaega
surḳh raushnī le kar āftāb aa.egā
is zamīñ ke āñgan meñ inqalāb aa.egā
haq nahīñ milā jin ko ab milegā haq un ko
muflisoñ ke dāman meñ māhtāb aa.egā
chhīn kar ke le leñge hākimoñ se haq apnā
muflisoñ ke bachchoñ par bhī shabāb aa.egā
pair meñ tumhāre ye jūtiyāñ bhī Dāleñge
sabr thoḌā sā kar lo intiḳhāb aa.egā
dhan ke haiñ pujārī jo ro ke giḌgiḌā.eñge
un ke ḳhāndānoñ pe jab 'azāb aa.egā
surKH raushni le kar aaftab aaega
is zamin ke aangan mein inqalab aaega
haq nahin mila jin ko ab milega haq un ko
muflison ke daman mein mahtab aaega
chhin kar ke le lenge hakimon se haq apna
muflison ke bachchon par bhi shabab aaega
pair mein tumhaare ye jutiyan bhi Dalenge
sabr thoDa sa kar lo intiKHab aaega
dhan ke hain pujari jo ro ke giDgiDaenge
un ke KHandanon pe jab 'azab aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.