surKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha
surKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha
Nawab Shahjahan Begum Shahjahan
MORE BYNawab Shahjahan Begum Shahjahan
surḳh-rū hone ke qābil kyā hinā thī maiñ na thā
aap ke qadmoñ ke nīche us ko jā thī maiñ na thā
dekhte kyā ho udhar gar zulf barham ho ga.ī
ye sarāsar harkat-e-bād-e-sabā thī maiñ na thā
jal ga.e aġhyār sab mahfil meñ aane se mire
ai parī ye garmī-e-āh-e-rasā thī maiñ na thā
kyuuñ na us hasrat se merā shīsha-e-dil chuur ho
baaġh thā saaqī thā sabza thā havā thī maiñ na thā
surKH-ru hone ke qabil kya hina thi main na tha
aap ke qadmon ke niche us ko ja thi main na tha
dekhte kya ho udhar gar zulf barham ho gai
ye sarasar harkat-e-baad-e-saba thi main na tha
jal gae aghyar sab mahfil mein aane se mere
ai pari ye garmi-e-ah-e-rasa thi main na tha
kyun na us hasrat se mera shisha-e-dil chur ho
bagh tha saqi tha sabza tha hawa thi main na tha
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 151)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.