surKH-rui to de ru-siyahi na de
surḳh-rūī to de rū-siyāhī na de
mere allāh ahd-e-tabāhī na de
kar de āñkhoñ ko nūr-e-basīrat 'atā
kam-nigāhī na de kam-nigāhī na de
dil na faḳhr-o-takabbur se ālūda ho
tāj-e-shāhī na de taḳht-e-shāhī na de
de ḳhulūs-o-vafā kā jo ho aa.ina
buġhz-o-kīna bharā dil ilāhī na de
duur nazroñ se hai sāhil-e-mudda.ā
kashtī-e-jāñ ko sail-e-tabāhī na de
maiñ ne qārūñ kī daulat na māñgī kabhī
itnī ġhurbat bhī lekin ilāhī na de
gar tū 'hassān' chāhe razā-e-ḳhudā
dushmanoñ ko bhī ranj-o-tabāhī na de
surKH-rui to de ru-siyahi na de
mere allah ahd-e-tabahi na de
kar de aankhon ko nur-e-basirat 'ata
kam-nigahi na de kam-nigahi na de
dil na faKHr-o-takabbur se aaluda ho
taj-e-shahi na de taKHt-e-shahi na de
de KHulus-o-wafa ka jo ho aaina
bughz-o-kina bhara dil ilahi na de
dur nazron se hai sahil-e-muddaa
kashti-e-jaan ko sail-e-tabahi na de
main ne qarun ki daulat na mangi kabhi
itni ghurbat bhi lekin ilahi na de
gar tu 'hassan' chahe raza-e-KHuda
dushmanon ko bhi ranj-o-tabahi na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.