surKH sidha saKHt nila dur uncha aasman
surḳh sīdhā saḳht niilā duur ūñchā āsmāñ
zard sūraj kā vatan tārīk bahtā āsmāñ
sard chup kaalī saḌak ko rauñdte phirte charāġh
daaġh daaġh apnī ridā meñ sar ko dhuntā āsmāñ
duur duur uḌtā gayā maiñ nuur ke rahvār par
phir bhī jab bhī sar uThāyā muñh pe dekhā āsmāñ
jaane kab se be-nishāñ vo chāh-e-shab meñ ġharq thā
maiñ jo uTThā ho gayā ik dam ujālā āsmāñ
nāchtā phirtā sharar bhī niim shab kī god meñ
dil-lagī kā ik jatan thā kuchh to khultā āsmāñ
surKH sidha saKHt nila dur uncha aasman
zard suraj ka watan tarik bahta aasman
sard chup kali saDak ko raundte phirte charagh
dagh dagh apni rida mein sar ko dhunta aasman
dur dur uDta gaya main nur ke rahwar par
phir bhi jab bhi sar uThaya munh pe dekha aasman
jaane kab se be-nishan wo chah-e-shab mein gharq tha
main jo uTTha ho gaya ek dam ujala aasman
nachta phirta sharar bhi nim shab ki god mein
dil-lagi ka ek jatan tha kuchh to khulta aasman
- Book : sheerazah (Pg. 102)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.