surKH suraj sham ka singhaar hai
surḳh sūraj shaam kā singhār hai
būḌhī āñkhoñ par dhuñdalkā baar hai
ek meñDak tajribe kī mez par
mushta.il kitnā hī ho be-kār hai
zehn par chādar dhueñ kī tan ga.ī
dhund meñ Duubā huā sansār hai
murta.ish lahroñ pe raqsāñ chāñdnī
merī sāñsoñ meñ ajab jhankār hai
vādiyoñ meñ surḳh phūloñ kī bahār
sabz āñkhoñ ke liye kohsār hai
sang-o-āhan isti.āre haiñ faqat
har taraf to ret kī dīvār hai
raat kyā ḳhvāboñ pe phir TuuTā azaab
aaj kyoñ har aadmī aḳhbār hai
surKH suraj sham ka singhaar hai
buDhi aankhon par dhundalka bar hai
ek meinDak tajribe ki mez par
mushtail kitna hi ho be-kar hai
zehn par chadar dhuen ki tan gai
dhund mein Duba hua sansar hai
murtaish lahron pe raqsan chandni
meri sanson mein ajab jhankar hai
wadiyon mein surKH phulon ki bahaar
sabz aankhon ke liye kohsar hai
sang-o-ahan istiare hain faqat
har taraf to ret ki diwar hai
raat kya KHwabon pe phir TuTa azab
aaj kyon har aadmi aKHbar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.