surKHi-e-rang-e-shafaq nur-e-sahar le ke chalo
surḳhī-e-rañg-e-shafaq nūr-e-sahar le ke chalo
rahravo mash.al-e-ḳhurshīd-o-qamar le ke chalo
jazba-e-jehd-e-musalsal tapish-e-azm-e-javāñ
ab jo chalte ho to ye zād-e-safar le ke chalo
phūñk Dāleñ jo har ik ḳhirman-e-fikr-e-bātil
apnī bebāk nigah meñ vo sharar le ke chalo
tum ko karnā hai madāvā-e-ġham-e-naua-e-bashar
dard-e-dil le ke chalo soz-e-jigar le ke chalo
aaj phir ahl-e-vatan ko hai zarūrat 'at.har'
nazr-e-jāñ le ke chalo hadiya-e-sar le ke chalo
surKHi-e-rang-e-shafaq nur-e-sahar le ke chalo
rahrawo mashal-e-KHurshid-o-qamar le ke chalo
jazba-e-jehd-e-musalsal tapish-e-azm-e-jawan
ab jo chalte ho to ye zad-e-safar le ke chalo
phunk Dalen jo har ek KHirman-e-fikr-e-baatil
apni bebak nigah mein wo sharar le ke chalo
tum ko karna hai madawa-e-gham-e-naua-e-bashar
dard-e-dil le ke chalo soz-e-jigar le ke chalo
aaj phir ahl-e-watan ko hai zarurat 'athar'
nazr-e-jaan le ke chalo hadiya-e-sar le ke chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.