surKHiyan paDh ke in aKHbaron ki Dar lagta hai
surKHiyan paDh ke in aKHbaron ki Dar lagta hai
Khaleequzzaman Nusrat
MORE BYKhaleequzzaman Nusrat
surḳhiyāñ paḌh ke in aḳhbāroñ kī Dar lagtā hai
saarā aalam kisī bārūd kā ghar lagtā hai
baiTh jā.eñgī ye dīvāreñ kisī bhī lamha
apne ghar meñ bhī to rahte hue Dar lagtā hai
apne hamsā.e ke hālāt haiñ apne jaise
apne hī ghar kī tarah un kā bhī ghar lagtā hai
aaj bhī haath kī rekhā ko muqaddar samjheñ
billiyāñ kaaT leñ raste ko to Dar lagtā hai
bol ke sach hī adālat meñ huī rusvā.ī
ab to sach ye hai hameñ sach se bhī Dar lagtā hai
surKHiyan paDh ke in aKHbaron ki Dar lagta hai
sara aalam kisi barud ka ghar lagta hai
baiTh jaengi ye diwaren kisi bhi lamha
apne ghar mein bhi to rahte hue Dar lagta hai
apne hamsae ke haalat hain apne jaise
apne hi ghar ki tarah un ka bhi ghar lagta hai
aaj bhi hath ki rekha ko muqaddar samjhen
billiyan kaT len raste ko to Dar lagta hai
bol ke sach hi adalat mein hui ruswai
ab to sach ye hai hamein sach se bhi Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.