Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surma missi kanghi choTi bhuli hai

Bashir Badr

surma missi kanghi choTi bhuli hai

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    surma missī kanghī choTī bhūlī hai

    sūkhe pattoñ par ik mainā baiThī hai

    kohre ke larzīda hāthoñ meñ aksar

    tulsī aur adrak chaa.e chhalaktī hai

    sāvan ne dhartī par phailā diiñ āñkheñ

    lekin merā chehra ab bhī ḳhālī hai

    patthar ke kūlhoñ par haath na pher kumhār

    sūkhī miTTī aur bikharne lagtī hai

    vo jo rang chamaktā hai us Tahnī par

    haath aa.e to phuul nahīñ to titlī hai

    shower ke nīche ghultī jaatī hai shaam

    merī āñkhoñ par ik towel lipTī hai

    tair rahī hai aag machhlī siine meñ

    tum samjhe the shāyad barf barfī hai

    apne mirche podīne suukh ga.e

    varna duniyā maash daal to ab bhī hai

    gard ke laDDū peḌe gande bachche khā.eñ

    raanī billī duudh jalebī khātī hai

    apnā tape bajā kar kavvā suntā hai

    sab ko apnī bolī achchhī lagtī hai

    aib purāne ghar ye hai baabā

    koī aa.e na aa.e ghanTī bajtī hai

    is sunsān shaam meñ ūñche Tiile par

    zulfeñ khole vo laḌkī kyoñ baiThī hai

    tiin samandar do sahrā us ke aage

    nāgin jaisī ek lakīr chamaktī hai

    surma missi kanghi choTi bhuli hai

    sukhe patton par ek maina baiThi hai

    kohre ke larzida hathon mein aksar

    tulsi aur adrak ki chae chhalakti hai

    sawan ne dharti par phaila din aankhen

    lekin mera chehra ab bhi KHali hai

    patthar ke kulhon par hath na pher kumhaar

    sukhi miTTi aur bikharne lagti hai

    wo jo rang chamakta hai us Tahni par

    hath aae to phul nahin to titli hai

    shower ke niche ghulti jati hai sham

    meri aankhon par ek towel lipTi hai

    tair rahi hai aag ki machhli sine mein

    tum samjhe the shayad barf ki barfi hai

    apne hi mirche podine sukh gae

    warna duniya mash ki dal to ab bhi hai

    gard ke laDDu peDe gande bachche khaen

    rani billi dudh jalebi khati hai

    apna tape baja kar kawwa sunta hai

    sab ko apni boli achchhi lagti hai

    aib purane ghar ka ye hi hai baba

    koi aae na aae ghanTi bajti hai

    is sunsan si sham mein unche Tile par

    zulfen khole wo laDki kyon baiThi hai

    tin samandar do sahra us ke aage

    nagin jaisi ek lakir chamakti hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now