surmai sham ke KHwab oDhe hue koi aata raha koi jata raha
surmai sham ke KHwab oDhe hue koi aata raha koi jata raha
Rehman Musawwir
MORE BYRehman Musawwir
surma.ī shaam ke ḳhvāb oḌhe hue koī aatā rahā koī jaatā rahā
chilchilātī huī dhuup ke saa.e meñ ek būḌhā shajar muskurātā rahā
pattharoñ ke badan se lipaTtī huī kahkashāñ raqs kartī rahī raat bhar
niim uryāñ ḳhayālāt kā devtā apsarāoñ ko naġhme sunātā rahā
jab ki hosh-o-ḳhirad muzmahil ho ga.e dil añdheroñ kī bastī meñ gum ho gayā
sāñvlā ḳhvāb āñkhoñ kī dahlīz par ārzūoñ ke dīpak jalātā rahā
barf kī oḌhnī kohsāroñ ne lī naddiyoñ ne samundar ke lab chhū liye
jhiil se muttasil hans tanhā khaḌā hansnī ke liye giit gaatā rahā
ik ajab kashmakash zindagī bhar rahī vo na samjhā na maiñ us ko samjhā sakā
naqsh iz.hār kā ya.anī iqrār kā maiñ banātā rahā vo miTātā rahā
surmai sham ke KHwab oDhe hue koi aata raha koi jata raha
chilchilati hui dhup ke sae mein ek buDha shajar muskuraata raha
pattharon ke badan se lipaTti hui kahkashan raqs karti rahi raat bhar
nim uryan KHayalat ka dewta apsaraon ko naghme sunata raha
jab ki hosh-o-KHirad muzmahil ho gae dil andheron ki basti mein gum ho gaya
sanwla KHwab aankhon ki dahliz par aarzuon ke dipak jalata raha
barf ki oDhni kohsaron ne li naddiyon ne samundar ke lab chhu liye
jhil se muttasil hans tanha khaDa hansni ke liye git gata raha
ek ajab kashmakash zindagi bhar rahi wo na samjha na main us ko samjha saka
naqsh izhaar ka yani iqrar ka main banata raha wo miTata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.