surur-e-ishq ne ulfat se bandh rakkha hai
surūr-e-ishq ne ulfat se bāñdh rakkhā hai
tirī ġharaz ne mohabbat se bāñdh rakkhā hai
ajab kashish hai tire hone yā na hone meñ
gumāñ ne mujh ko haqīqat se bāñdh rakkhā hai
kabhī kabhī to mujhe TūTtā dikhā.ī de
jo ek ahd qayāmat se bāñdh rakkhā hai
shah-e-jamāl tire shahr ke faqīroñ ko
kamāl-e-hijr ne vahshat se bāñdh rakkhā hai
bhaTak rahā huuñ maiñ ġhār-e-tilism ke andar
ki ilm tū ne jahālat se bāñdh rakkhā hai
surur-e-ishq ne ulfat se bandh rakkha hai
teri gharaz ne mohabbat se bandh rakkha hai
ajab kashish hai tere hone ya na hone mein
guman ne mujh ko haqiqat se bandh rakkha hai
kabhi kabhi to mujhe TuTta dikhai de
jo ek ahd qayamat se bandh rakkha hai
shah-e-jamal tere shahr ke faqiron ko
kamal-e-hijr ne wahshat se bandh rakkha hai
bhaTak raha hun main ghaar-e-tilism ke andar
ki ilm tu ne jahaalat se bandh rakkha hai
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 187)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.