surur-o-raqs-o-masti, main nahin hun
surūr-o-raqs-o-mastī, maiñ nahīñ huuñ
mukammal ghar-girhastī maiñ nahīñ huuñ
vahī sadiyoñ purānī, aam aurat
anokhā rāz-e-hastī, maiñ nahīñ huuñ
hai dil kī aarzū sahrā-navardī
shahar, qasba yā bastī, maiñ nahīñ huuñ
kahīñ ik khet merā muntazir hai
so dariyā par barastī maiñ nahīñ huuñ
mire in qahqahoñ kā raaz samjho
basā-auqāt hañstī maiñ nahīñ huuñ
surur-o-raqs-o-masti, main nahin hun
mukammal ghar-girhasti main nahin hun
wahi sadiyon purani, aam aurat
anokha raaz-e-hasti, main nahin hun
hai dil ki aarzu sahra-nawardi
shahar, qasba ya basti, main nahin hun
kahin ek khet mera muntazir hai
so dariya par barasti main nahin hun
mere in qahqahon ka raaz samjho
basa-auqat hansti main nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.