sust na ho jaen zanjiren
sust na ho jaa.eñ zanjīreñ
dānista bhī kuchh taqsīreñ
hāsil sab kā ek hai lekin
ek nahīñ haiñ sab tasvīreñ
āñkhoñ dekhā ḳhvāb nahīñ hai
ḳhvāb kī hotī haiñ ta.abīreñ
ham jo chāheñ ḳhud hī likh deñ
saada kāġhaz haiñ taqdīreñ
barbādī bhī raqs karegī
chheḌeñ to naġhma zanjīreñ
jiinā to be-lāg hī achchhā
marne kī socho tadbīreñ
tasvīroñ meñ sūrat DhūñDo
sūrat meñ dekho tasvīreñ
dil kī rāheñ DhūñDo 'anjum'
duniyā kyā mahdūd lakīreñ
sust na ho jaen zanjiren
danista bhi kuchh taqsiren
hasil sab ka ek hai lekin
ek nahin hain sab taswiren
aankhon dekha KHwab nahin hai
KHwab ki hoti hain tabiren
hum jo chahen KHud hi likh den
sada kaghaz hain taqdiren
barbaadi bhi raqs karegi
chheDen to naghma zanjiren
jina to be-lag hi achchha
marne ki socho tadbiren
taswiron mein surat DhunDo
surat mein dekho taswiren
dil ki rahen DhunDo 'anjum'
duniya kya mahdud lakiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.