susta raha hun main abhi halkan to nahin
sustā rahā huuñ maiñ abhī halkān to nahīñ
ye zindagī hai itnī bhī āsān to nahīñ
ai kaash ittifāq se mil jaa.e vo magar
is husn-e-ittifāq kā imkān to nahīñ
ai mustaqil udāsī na mujh meñ qiyām kar
vīrān huuñ par itnā bhī vīrān to nahīñ
ai dost kaise tujh se maiñ kartā koī gila
apne kiye pe maiñ bhī pashemān to nahīñ
ik dūsre pe marne ke va.ade to haiñ magar
ik dūsre pe koī bhī qurbān to nahīñ
susta raha hun main abhi halkan to nahin
ye zindagi hai itni bhi aasan to nahin
ai kash ittifaq se mil jae wo magar
is husn-e-ittifaq ka imkan to nahin
ai mustaqil udasi na mujh mein qiyam kar
viran hun par itna bhi viran to nahin
ai dost kaise tujh se main karta koi gila
apne kiye pe main bhi pasheman to nahin
ek dusre pe marne ke wade to hain magar
ek dusre pe koi bhi qurban to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.