sukha sukha dariya ka dil hota hai
sūkhā sūkhā dariyā kā dil hotā hai
pyaas bujhānā kitnā mushkil hotā hai
jis ne ishq kiyā mujh se sab ko Toke
ziist nahīñ ye zaat meñ shāmil hotā hai
shaam havā meñ yaad tumhārī hotī hai
shaam ko siina bojhal bojhal hotā hai
bārish tak bārish ko Taale rakhtā huuñ
paanī meñ phir paanī shāmil hotā hai
us ne mujh ko bol diyā pahchānā nahīñ
maazī se baḌh kar mustaqbil hotā hai
mujh ko ik pāgal ke havāle kar jaao
khul kar hañsne rone kā dil hotā hai
vo maz.hab jo bas ḳhatre meñ rahtā hai
us maz.hab se Dar hī hāsil hotā hai
sukha sukha dariya ka dil hota hai
pyas bujhana kitna mushkil hota hai
jis ne ishq kiya mujh se sab ko Toke
zist nahin ye zat mein shamil hota hai
sham hawa mein yaad tumhaari hoti hai
sham ko sina bojhal bojhal hota hai
barish tak barish ko Tale rakhta hun
pani mein phir pani shamil hota hai
us ne mujh ko bol diya pahchana nahin
mazi se baDh kar mustaqbil hota hai
mujh ko ek pagal ke hawale kar jao
khul kar hansne rone ka dil hota hai
wo mazhab jo bas KHatre mein rahta hai
us mazhab se Dar hi hasil hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.