sukhe honTon par mere harf-e-dua hote hue
sūkhe hoñToñ par mire harf-e-duā hote hue
jang kaise haar jaa.eñ hausla hote hue
ho anal-haq kī sadā to paikar-e-mansūr ho
ham ne dekhā hai yahāñ banda ḳhudā hote hue
maiñ jhukā.ūñ sar sar-e-maqtal ḳhudā aisā na ho
sāmne dars-e-imām-e-karbalā hote hue
laaj rakhnā is uThe dast-e-du'ā kī ai ḳhudā
kashtiyāñ kyoñ Duub jaa.eñ nāḳhudā hote hue
maiñ samundar hī kī vus'at meñ bhaTaktā rah gayā
sāhiloñ kī ret par kuchh naqsh-e-pā hote hue
kyā kahūñ shauq-e-junūñ meñ chāk-dāmānī kā phir
raaz afshā ho gayā band-e-qabā hote hue
jaane kyā tā'bīr ho is ḳhvāb kī 'āsif-bilāl’
ik samundar dekhtā huuñ surḳh sā hote hue
sukhe honTon par mere harf-e-dua hote hue
jang kaise haar jaen hausla hote hue
ho anal-haq ki sada to paikar-e-mansur ho
hum ne dekha hai yahan banda KHuda hote hue
main jhukaun sar sar-e-maqtal KHuda aisa na ho
samne dars-e-imam-e-karbala hote hue
laj rakhna is uThe dast-e-du'a ki ai KHuda
kashtiyan kyon Dub jaen naKHuda hote hue
main samundar hi ki wus'at mein bhaTakta rah gaya
sahilon ki ret par kuchh naqsh-e-pa hote hue
kya kahun shauq-e-junun mein chaak-damani ka phir
raaz afsha ho gaya band-e-qaba hote hue
jaane kya ta'bir ho is KHwab ki 'asif-bilal’
ek samundar dekhta hun surKH sa hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.