sukhe patte uDa raha hoga
sūkhe patte uḌā rahā hogā
vo ḳhizāoñ se kheltā hogā
niiñd ke naam se jo Dartā hai
saañp ḳhvāboñ meñ dekhtā hogā
barf pighlegī jab pahāḌoñ par
dhuup meñ shahr jal gayā hogā
pattharoñ se hai vāsta jis ko
aa.ina chhup ke dekhtā hogā
muḳhlisī us ko khā chukī hogī
vo to rishtoñ meñ baT chukā hogā
rañg-sāzoñ ke shahr kā 'betāb'
naqsha har pal badal rahā hogā
sukhe patte uDa raha hoga
wo KHizaon se khelta hoga
nind ke nam se jo Darta hai
sanp KHwabon mein dekhta hoga
barf pighlegi jab pahaDon par
dhup mein shahr jal gaya hoga
pattharon se hai wasta jis ko
aaina chhup ke dekhta hoga
muKHlisi us ko kha chuki hogi
wo to rishton mein baT chuka hoga
rang-sazon ke shahr ka 'betab'
naqsha har pal badal raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.