sukhe phulon ko bhi gul-dan mein rakkha hua hai
sūkhe phūloñ ko bhī gul-dān meñ rakkhā huā hai
shāhzādī ne hameñ dhyān meñ rakkhā huā hai
hālat-e-hijr pe tohmat na lagā ai duniyā
maiñ ne us shaḳhs ko imkān meñ rakkhā huā hai
kaafī tāḳhīr se jaagī hai mohabbat terī
ab koī aur mirī jaan meñ rakkhā huā hai
ġhaur se socheñ to har shaḳhs hai sayyād yahāñ
sab ne hī ruuh ko zindān meñ rakkhā huā hai
sukhe phulon ko bhi gul-dan mein rakkha hua hai
shahzadi ne hamein dhyan mein rakkha hua hai
haalat-e-hijr pe tohmat na laga ai duniya
main ne us shaKHs ko imkan mein rakkha hua hai
kafi taKHir se jagi hai mohabbat teri
ab koi aur meri jaan mein rakkha hua hai
ghaur se sochen to har shaKHs hai sayyaad yahan
sab ne hi ruh ko zindan mein rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.