suna aangan nind mein aise chaunk uTha hai
suunā āñgan niiñd meñ aise chauñk uThā hai
sote meñ bhī jaise koī siskī letā hai
ghar meñ to is māhaul kā maiñ aadī huuñ lekin
bāzāroñ kī vīrānī se dam ghuTtā hai
muddat se maiñ soch rahā thā ab samjhā huuñ
jeb aur aañkh ke ḳhālī-pan meñ kyā rishta hai
itne log mujhe ruḳhsat karne aa.e haiñ
ghar vāpas jaanā bhī tamāshā sā lagtā hai
log to apnī jānib se kuchh joḌ hī leñge
itnī adhūrī bāteñ haiñ vo kyuuñ kartā hai
apnī kyā in rastoñ ke baare meñ sochūñ
un kā safar to merī umr se bhī lambā hai
us kī āñkhoñ se ojhal mat honā 'shāriq'
pīchhā karne vaalā bahut tanhā hotā hai
suna aangan nind mein aise chaunk uTha hai
sote mein bhi jaise koi siski leta hai
ghar mein to is mahaul ka main aadi hun lekin
bazaron ki virani se dam ghuTta hai
muddat se main soch raha tha ab samjha hun
jeb aur aankh ke KHali-pan mein kya rishta hai
itne log mujhe ruKHsat karne aae hain
ghar wapas jaana bhi tamasha sa lagta hai
log to apni jaanib se kuchh joD hi lenge
itni adhuri baaten hain wo kyun karta hai
apni kya in raston ke bare mein sochun
un ka safar to meri umr se bhi lamba hai
us ki aankhon se ojhal mat hona 'shaariq'
pichha karne wala bahut tanha hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.