suna paDa hai dil ka makan aap ke bina
suunā paḌā hai dil kā makāñ aap ke binā
rah rah ke uTh rahā hai dhuāñ aap ke binā
yuuñ to khile haiñ phuul ka.ī rañg ke magar
phīke paḌe haiñ donoñ jahāñ aap ke binā
ye soch ke maiñ ghuum rahā huuñ yahāñ vahāñ
rāhat milegī dil ko kahāñ aap ke binā
bas is liye hī gaañv se maiñ shahr aa basā
maiñ kyā karūñgā rah ke vahāñ aap ke binā
'ādarsh' kah rahā hai ki mat aao mere paas
barbād ho gayā huuñ yahāñ aap ke binā
suna paDa hai dil ka makan aap ke bina
rah rah ke uTh raha hai dhuan aap ke bina
yun to khile hain phul kai rang ke magar
phike paDe hain donon jahan aap ke bina
ye soch ke main ghum raha hun yahan wahan
rahat milegi dil ko kahan aap ke bina
bas is liye hi ganw se main shahr aa basa
main kya karunga rah ke wahan aap ke bina
'adarsh' kah raha hai ki mat aao mere pas
barbaad ho gaya hun yahan aap ke bina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.