suna suna aangan hai aur baam-o-dar KHamosh
suunā suunā āñgan hai aur bām-o-dar ḳhāmosh
kis se guftugū kiije ho jo ghar kā ghar ḳhāmosh
sham.a kī tarah koī ġham-gusār kyā hogā
saath saath chaltī hai raat raat bhar ḳhāmosh
kuchh to maslahat hogī jo zabāñ nahīñ khultī
varna terī mahfil meñ ham aur is qadar ḳhāmosh
hai sukūt kā aalam kā.enāt par taarī
jab se ham idhar chup haiñ aur vo udhar ḳhāmosh
shahr-e-dil pe chhā.e haiñ dasht-e-ġham ke sannāTe
kitnī ārzūeñ haiñ sab kī sab magar ḳhāmosh
kārvāñ ko luuTā hai kis ne ye batā.e kaun
chashm-e-rāhzan hairāñ dast-e-rāhbar ḳhāmosh
jaur-hā-e-yārāñ ke silsile na baḌh jaa.eñ
aur bhī rahe 'ḳhāvar' tum yūñhī agar ḳhāmosh
suna suna aangan hai aur baam-o-dar KHamosh
kis se guftugu kije ho jo ghar ka ghar KHamosh
shama ki tarah koi gham-gusar kya hoga
sath sath chalti hai raat raat bhar KHamosh
kuchh to maslahat hogi jo zaban nahin khulti
warna teri mahfil mein hum aur is qadar KHamosh
hai sukut ka aalam kaenat par tari
jab se hum idhar chup hain aur wo udhar KHamosh
shahr-e-dil pe chhae hain dasht-e-gham ke sannaTe
kitni aarzuen hain sab ki sab magar KHamosh
karwan ko luTa hai kis ne ye batae kaun
chashm-e-rahzan hairan dast-e-rahbar KHamosh
jaur-ha-e-yaran ke silsile na baDh jaen
aur bhi rahe 'KHawar' tum yunhi agar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.