sune-sune dar-o-rasan batlate hain
sūne-sūne dār-o-rasan batlāte haiñ
sach kahne se log bahut katrāte haiñ
aañsū ban jaate haiñ ġham kahlāte haiñ
vo jazbe jo dil hī meñ mar jaate haiñ
ye hai baat judā vo ham se kah na sake
varna ḳhvāb to gūñge ko bhī aate haiñ
jis kī jānib aañkh uThānā mushkil ho
ham us sachchā.ī par qalam uThāte haiñ
har farmā.ish ā.inda par Tāltā huuñ
bachche mujh se jhuuT bahut bulvāte haiñ
dil terī qurbat meñ bhī afsurda hai
kyā shāḳhoñ par bhī ġhunche kumhlāte haiñ
dīda-o-dil donoñ kyoñ ik saath bujhe
mehr-o-māh ikaTThe kab gahnāte haiñ
saa.e phal aur phūloñ ke badle 'nusrat'
sochiye ham ashjār ko kyā lauTāte haiñ
sune-sune dar-o-rasan batlate hain
sach kahne se log bahut katraate hain
aansu ban jate hain gham kahlate hain
wo jazbe jo dil hi mein mar jate hain
ye hai baat juda wo hum se kah na sake
warna KHwab to gunge ko bhi aate hain
jis ki jaanib aankh uThana mushkil ho
hum us sachchai par qalam uThate hain
har farmaish aainda par Talta hun
bachche mujh se jhuT bahut bulwate hain
dil teri qurbat mein bhi afsurda hai
kya shaKHon par bhi ghunche kumhlate hain
dida-o-dil donon kyon ek sath bujhe
mehr-o-mah ikaTThe kab gahnate hain
sae phal aur phulon ke badle 'nusrat'
sochiye hum ashjar ko kya lauTate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.