suni dil ki gali na ho jae
suunī dil kī galī na ho jaa.e
dil se ab be-dilī na ho jaa.e
zindagī kar rahā huuñ tang itnī
yaar ye ḳhud-kushī na ho jaa.e
dostī to naqāb hai us kā
ajnabī ajnabī na ho jaa.e
vaqt itnā bhī kar na de bebas
duudh jam kar dahī na ho jaa.e
ab duā bhī asar nahīñ kartī
badduā shā.irī na ho jaa.e
dhundh kī pairvī bahut hai yahāñ
tīrgī raushnī na ho jaa.e
suni dil ki gali na ho jae
dil se ab be-dili na ho jae
zindagi kar raha hun tang itni
yar ye KHud-kushi na ho jae
dosti to naqab hai us ka
ajnabi ajnabi na ho jae
waqt itna bhi kar na de bebas
dudh jam kar dahi na ho jae
ab dua bhi asar nahin karti
baddua shairi na ho jae
dhundh ki pairwi bahut hai yahan
tirgi raushni na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.