suni hai bazm-e-alam-e-imkan tere baghair
suni hai bazm-e-alam-e-imkan tere baghair
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
suunī hai bazm-e-ālam-e-imkāñ tire baġhair
duniyā kisī ġharīb kī vīrāñ tire baġhair
thī zindagī meñ ḳhū-e-ġham-e-hijr is liye
ab saḳhtiyāñ haiñ maut kī āsāñ tire baġhair
kis se kahūñ ki tishna-e-takmīl hai abhī
merī hikāyat-e-ġham-e-pinhāñ tire baġhair
aa aur rang-e-gardish-e-lail-o-nahār dekh
shām-e-ḳhizāñ hai sub.h-e-bahārāñ tire baġhair
kaliyāñ chaman meñ mohr-ba-lab haiñ udaas haiñ
tere baġhair jān-e-gulistāñ tire baġhair
sub.h-e-vatan aziiz faqat tere dam se thī
ab shām-e-ġham hai shām-e-ġharībāñ tire baġhair
suni hai bazm-e-alam-e-imkan tere baghair
duniya kisi gharib ki viran tere baghair
thi zindagi mein KHu-e-gham-e-hijr is liye
ab saKHtiyan hain maut ki aasan tere baghair
kis se kahun ki tishna-e-takmil hai abhi
meri hikayat-e-gham-e-pinhan tere baghair
aa aur rang-e-gardish-e-lail-o-nahaar dekh
sham-e-KHizan hai subh-e-bahaaran tere baghair
kaliyan chaman mein mohr-ba-lab hain udas hain
tere baghair jaan-e-gulistan tere baghair
subh-e-watan aziz faqat tere dam se thi
ab sham-e-gham hai sham-e-ghariban tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.