suni suni si hai Dagar tanha
suunī suunī sī hai Dagar tanhā
yuuñ hī kaTtā nahīñ safar tanhā
maiñ bhī bekal sā huuñ idhar tanhā
aur vo muztarib udhar tanhā
TūTtā rahtā hai asar tanhā
kaise baḌh pā.egā hunar tanhā
us ke atrāf bhiiḌ rahtī hai
DhūñDhtī hai jise nazar tanhā
din to apnā guzar bhī jaatā hai
raat hotī nahīñ basar tanhā
har taraf qabr sā hai sannāTā
Das rahā hai mujhe ye ghar tanhā
us kī yādoñ kī bhiiḌ saath rahī
ham ga.e haiñ jidhar jidhar tanhā
apne saa.e haiñ miil ke patthar
kaT hī jā.egī rahguzar tanhā
maiñ huuñ ik aisī sham.a ke mānind
jal rahī hai jo raat bhar tanhā
ho kaḌī dhuup yā chale tūfāñ
sahtā rahtā hai ik shajar tanhā
ham ne bhī kab use pukārā hai
chhoḌ kar vo gayā agar tanhā
suni suni si hai Dagar tanha
yun hi kaTta nahin safar tanha
main bhi bekal sa hun idhar tanha
aur wo muztarib udhar tanha
TuTta rahta hai asar tanha
kaise baDh paega hunar tanha
us ke atraf bhiD rahti hai
DhunDhti hai jise nazar tanha
din to apna guzar bhi jata hai
raat hoti nahin basar tanha
har taraf qabr sa hai sannaTa
Das raha hai mujhe ye ghar tanha
us ki yaadon ki bhiD sath rahi
hum gae hain jidhar jidhar tanha
apne sae hain mil ke patthar
kaT hi jaegi rahguzar tanha
main hun ek aisi shama ke manind
jal rahi hai jo raat bhar tanha
ho kaDi dhup ya chale tufan
sahta rahta hai ek shajar tanha
hum ne bhi kab use pukara hai
chhoD kar wo gaya agar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.