suni suni si hai har bazm-e-suKHan tere baad
suni suni si hai har bazm-e-suKHan tere baad
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
suunī suunī sī hai har bazm-e-suḳhan tere baad
ḳhatm hai silsila-e-azmat-e-fan tere baad
apne afkār se urdu ko navāzā tū ne
kis ko urdu se hai ab itnī lagan tere baad
kabhī 'ġhālib' to kabhī 'mīr' ke andāz meñ sher
hai mayassar kise ye tarz-e-suḳhan tere baad
bahr-e-taḳh.īl meñ aglī sī ravānī vo kahāñ
maujzan ab bhī haiñ go gang-o-jaman tere baad
mahfil-e-sher-o-adab meñ vo kahāñ josh-o-ḳharosh
sard hai garmī-e-bāzār-e-suḳhan tere baad
kis se pā.eñge savāloñ kā sukūñ-baḳhsh javāb
dil ko mahsūs sī hotī hai ghuTan tere baad
koī suljhā na sakā zulf-e-adab baad tire
paḌ ga.ī gesu-e-urdū meñ shikan tere baad
terā har sher nayā terā har uslūb jadīd
kaun toḌegā rivāyāt-e-kuhan tere baad
ilm-o-fan meñ tirā saanī koī maujūd nahīñ
naaz kis par kareñ ab ahl-e-vatan tere baad
jaan dene ke liye apnī ba-nām-e-urdu
kaun pahuñchegā sar-e-dār-o-rasan tere baad
kaun rakkhegā yahāñ mai-kada-e-sher kī laaj
dekhnā hai hameñ rindoñ kā chalan tere baad
kyā guzartī hai ḳhabar hai tujhe ai rūh-e-'firāq'
dil-e-'jauhar' pe sar-e-bazm-e-suḳhan tere baad
suni suni si hai har bazm-e-suKHan tere baad
KHatm hai silsila-e-azmat-e-fan tere baad
apne afkar se urdu ko nawaza tu ne
kis ko urdu se hai ab itni lagan tere baad
kabhi 'ghaalib' to kabhi 'mir' ke andaz mein sher
hai mayassar kise ye tarz-e-suKHan tere baad
bahr-e-taKHil mein agli si rawani wo kahan
maujzan ab bhi hain go gang-o-jaman tere baad
mahfil-e-sher-o-adab mein wo kahan josh-o-KHarosh
sard hai garmi-e-bazar-e-suKHan tere baad
kis se paenge sawalon ka sukun-baKHsh jawab
dil ko mahsus si hoti hai ghuTan tere baad
koi suljha na saka zulf-e-adab baad tere
paD gai gesu-e-urdu mein shikan tere baad
tera har sher naya tera har uslub jadid
kaun toDega riwayat-e-kuhan tere baad
ilm-o-fan mein tera sani koi maujud nahin
naz kis par karen ab ahl-e-watan tere baad
jaan dene ke liye apni ba-nam-e-urdu
kaun pahunchega sar-e-dar-o-rasan tere baad
kaun rakkhega yahan mai-kada-e-sher ki laj
dekhna hai hamein rindon ka chalan tere baad
kya guzarti hai KHabar hai tujhe ai ruh-e-'firaq'
dil-e-'jauhar' pe sar-e-bazm-e-suKHan tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.