suraj ab gham ka chhupa hai shayad
sūraj ab ġham kā chhupā hai shāyad
chāñd ḳhushiyoñ kā ugā hai shāyad
zindagī oḌh chukī tārīkī
dil koī Duub rahā hai shāyad
aañkh us kī bhī nazar aatī hai nam
kāñTā us ke bhī chubhā hai shāyad
raahī afsos hirāsāñ haiñ sab
qāfila chhūT gayā hai shāyad
nauha har lab pe har ik jā girya
koī duniyā se uThā hai shāyad
us se 'shāġhil' haiñ gurezāñ sab hī
vo bhī āseb-zada hai shāyad
suraj ab gham ka chhupa hai shayad
chand KHushiyon ka uga hai shayad
zindagi oDh chuki tariki
dil koi Dub raha hai shayad
aankh us ki bhi nazar aati hai nam
kanTa us ke bhi chubha hai shayad
rahi afsos hirasan hain sab
qafila chhuT gaya hai shayad
nauha har lab pe har ek ja girya
koi duniya se uTha hai shayad
us se 'shaghil' hain gurezan sab hi
wo bhi aaseb-zada hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.