suraj bhaDke to manzar shadab sulagte hain
sūraj bhaḌke to manzar shādāb sulagte haiñ
dhūpeñ jab bhī tez huī haiñ ḳhvāb sulagte haiñ
kab āñgan par vasl kā bādal chhā.egā jānāñ
sūkhe ho kar āñkhoñ ke tālāb sulagte haiñ
pyaar kī bārish hotī hai jab ḳhushk chaTānoñ par
dil dhartī par an-dekhe zahrāb sulagte haiñ
rātoñ ko jab yādoñ kī barfāb havā.eñ hoñ
to palkoñ par ashkoñ ke guhr-āb sulagte haiñ
jaag uThte haiñ so.e hue kirdār kahānī ke
raat ga.e jab jhīloñ par mahtāb sulagte haiñ
nafrat se ḳhud apnī aag meñ jaltī haiñ āñkheñ
pyaar se sab shaitānoñ ke alqāb sulagte haiñ
chāñd-nagar meñ yaad aatī hai ik dopahar 'kafīl'
ThanDe ThanDe mausam meñ a.asāb sulagte haiñ
suraj bhaDke to manzar shadab sulagte hain
dhupen jab bhi tez hui hain KHwab sulagte hain
kab aangan par wasl ka baadal chhaega jaanan
sukhe ho kar aankhon ke talab sulagte hain
pyar ki barish hoti hai jab KHushk chaTanon par
dil dharti par an-dekhe zahrab sulagte hain
raaton ko jab yaadon ki barfab hawaen hon
to palkon par ashkon ke guhr-ab sulagte hain
jag uThte hain soe hue kirdar kahani ke
raat gae jab jhilon par mahtab sulagte hain
nafrat se KHud apni aag mein jalti hain aankhen
pyar se sab shaitanon ke alqab sulagte hain
chand-nagar mein yaad aati hai ek dopahar 'kafil'
ThanDe ThanDe mausam mein aasab sulagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.