suraj bhi ghamgin baDa tha
sūraj bhī ġhamgīn baḌā thā
chāñd kā chehra bhī utrā thā
itnā to ab yaad nahīñ hai
kis ne kab iqrār kiyā thā
chhoḌ ke apnā sab kuchh maiñ bhī
tere dar par aa baiThā thā
tujh ko hāsil karne niklā
apne aap ko bhuul gayā thā
tere badan kī ḳhushbū se hī
saarā āñgan mahak rahā thā
mere paas nahīñ thā 'ahmad'
mujh se jo vo maañg rahā thā
suraj bhi ghamgin baDa tha
chand ka chehra bhi utra tha
itna to ab yaad nahin hai
kis ne kab iqrar kiya tha
chhoD ke apna sab kuchh main bhi
tere dar par aa baiTha tha
tujh ko hasil karne nikla
apne aap ko bhul gaya tha
tere badan ki KHushbu se hi
sara aangan mahak raha tha
mere pas nahin tha 'ahmad'
mujh se jo wo mang raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.