Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj chand sitare raushan

Kafeel Anwar

suraj chand sitare raushan

Kafeel Anwar

MORE BYKafeel Anwar

    sūraj chāñd sitāre raushan

    dhartī ke mah-pāre raushan

    fikr-o-nazar ke ā.īne meñ

    sahrā ret sharāre raushan

    anā-guzīda insānoñ meñ

    kahāñ raheñge saare raushan

    TuuTe bikhre ḳhvāb sunahrī

    aur qalam ke taare raushan

    qalb syāhī-mā.il sab ke

    lekin tīsoñ paare raushan

    'anvar' chhoḌ ke ghar niklā huuñ

    bām-o-dar galiyāre raushan

    suraj chand sitare raushan

    dharti ke mah-pare raushan

    fikr-o-nazar ke aaine mein

    sahra ret sharare raushan

    ana-guzida insanon mein

    kahan rahenge sare raushan

    TuTe bikhre KHwab sunahri

    aur qalam ke tare raushan

    qalb syahi-mail sab ke

    lekin tison pare raushan

    'anwar' chhoD ke ghar nikla hun

    baam-o-dar galiyare raushan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now