suraj gaya to chand sitare nikal paDe
sūraj gayā to chāñd sitāre nikal paḌe
jin kī talāsh thī vo nazāre nikal paḌe
ai kārvān-e-qaum tirī ḳhair ho ki ham
lagtā hai rahzanoñ ke sahāre nikal paḌe
tūfān josh par thā safīna bhañvar meñ thā
ġharqāb ham hue to kināre nikal paḌe
thā jis kā ḳhauf ho ke rahā hādsa vahī
neze kisī ke siine hamāre nikal paḌe
pahle to mere haq meñ zabāñ us kī aag thī
jab aag tham ga.ī to sharāre nikal paḌe
jab se baḌhā hai bhaav siyāsat meñ zahr kā
le kar sapere naag piTāre nikal paḌe
thā ghar kā sā.ebān harā peḌ jab girā
taqsīm-sāz hāthoñ se aare nikal paḌe
kaisī ḳhatā huī ki sar-e-mai-kada the ham
sab kah uThe 'qamar' bhī hamāre nikal paḌe
suraj gaya to chand sitare nikal paDe
jin ki talash thi wo nazare nikal paDe
ai karwan-e-qaum teri KHair ho ki hum
lagta hai rahzanon ke sahaare nikal paDe
tufan josh par tha safina bhanwar mein tha
gharqab hum hue to kinare nikal paDe
tha jis ka KHauf ho ke raha hadsa wahi
neze kisi ke sine hamare nikal paDe
pahle to mere haq mein zaban us ki aag thi
jab aag tham gai to sharare nikal paDe
jab se baDha hai bhaw siyasat mein zahr ka
le kar sapere nag piTare nikal paDe
tha ghar ka saeban hara peD jab gira
taqsim-saz hathon se aare nikal paDe
kaisi KHata hui ki sar-e-mai-kada the hum
sab kah uThe 'qamar' bhi hamare nikal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.