suraj hai naya chand naya tare nae hain
sūraj hai nayā chāñd nayā taare na.e haiñ
ye kyā pas-e-duniyā hai jo ham dekh rahe haiñ
mausam to ka.ī aa.e magar ḳhvāb hamāre
sūkhe hue pattoñ kī tarah girte rahe haiñ
har lamha koī iiñT ukhaḌ jaatī hai jis kī
ham log usī dīvār ke saa.e meñ khaḌe haiñ
ḳhud apne hī saa.e ne hameñ nīchā dikhāyā
ham sochte the ham sabhī sāyoñ se baḌe haiñ
vo ek bhañvar sunte haiñ dilkash hai ġhazab kā
haiñ kitne safīne jo vahāñ Duub chuke haiñ
rañgīn dūkānoñ meñ saje haiñ jo khilaune
andar se agar dekho to sab TuuTe hue haiñ
'betāb' numāyāñ nahīñ kuchh aise magar haañ
in lambī qatāroñ meñ kahīñ ham bhī khaḌe haiñ
suraj hai naya chand naya tare nae hain
ye kya pas-e-duniya hai jo hum dekh rahe hain
mausam to kai aae magar KHwab hamare
sukhe hue patton ki tarah girte rahe hain
har lamha koi inT ukhaD jati hai jis ki
hum log usi diwar ke sae mein khaDe hain
KHud apne hi sae ne hamein nicha dikhaya
hum sochte the hum sabhi sayon se baDe hain
wo ek bhanwar sunte hain dilkash hai ghazab ka
hain kitne safine jo wahan Dub chuke hain
rangin dukanon mein saje hain jo khilaune
andar se agar dekho to sab TuTe hue hain
'betab' numayan nahin kuchh aise magar han
in lambi qataron mein kahin hum bhi khaDe hain
- Book : Falak Aasaar (Pg. 72)
- Author : Pritpal Singh Betab
- Publication : Sarsabz Publications (H.P.) (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.